yar jab pesh-e-nazar hota hai
dil mera zer-o-zabar hota hai
ho KHajil bagh mein gul aab hua
jab sin gul-ru ka guzar hota hai
dagh-e-dil kun mere nahin bahra-e-wasl
garche har gul kun samar hota hai
gard-e-gham dilbar-e-KHush-chashm baghair
surma-e-chashm-e-jigar hota hai
dil liya nargis-e-sahir ne teri
sach ki jadu kun asar hota hai
tegh-e-abru sin teri KHauf nahin
dil mera ja-e-sipar hota hai
shama-ru ki shab-e-hijran mein 'siraj'
aag gham dagh sharar hota hai
Ghazal
Yar jab pesh-e-nazar hota hai
Siraj Aurangabadi