yar hain chin-bar-jabin sab mehrban koi nahin
hum se hans kar bolne wala yahan koi nahin
qismat ek shab le gai mujh ko jo bagh-e-wasl mein
dekhta kya hun ki us ka baghban koi nahin
barq-e-gulshan mein paDi kis ke tabassum se saba
jo na jhulsa howe aisa aashiyan koi nahin
wae nakaami ki fariyaadi hain hum us shahr mein
juz-KHamoshi dad-ras apna jahan koi nahin
subh hote KHwab-e-ghaflat se jo chaunke hum to hae
aankh ke khulte hi dekha karwan koi nahin
ai dil-e-be-jurat itni bhi na kar be-jurati
juz saba us gul ka is dam pasban koi nahin
do ghaDi mil baiThen hum tum ek dam jo chain se
hae zer-e-asman aisa makan koi nahin
main jo puchhun hun tere ghar mein bhi aata hai koi
yun kahe hai pher kar munh mein zaban koi nahin
munh uThae jate hain yun dasht-e-ghurbat mein chale
na-balad hain sab hi hum mein rah-dan koi nahin
Thahriyo Tuk Thahriyo ki aae hai aawaz si
dekhiyo pichhe to aaj ai ham-rahan koi nahin
KHwab-gah se kya uDa kar le gai us ko saba
aur sab zewar hai us ka itr-dan koi nahin
'mushafi' kya KHak hum sher-o-suKHan par ji lagaen
shaeri ye kuchh hai lekin qadr-dan koi nahin
Ghazal
Yar hain chin-bar-jabin sab mehrban koi nahin
Mushafi Ghulam Hamdani