اردو हिंदी
Yar hai aaina hai shana hai | Shaahi Shayari
yar hai aaina hai shana hai

Ghazal

Yar hai aaina hai shana hai

Yagana Changezi

;

yar hai aaina hai shana hai
chashm-e-bad-dur kya zamana hai

jhankne takne ka waqt gaya
ab wo hum hain na wo zamana hai

wahshat-angez hai nasim-e-bahaar
kya junun-KHez ye zamana hai

saqiya arsh par hai apna dimagh
sar hai aur tera aastana hai

dagh-e-hasrat se dil ho malamal
yahi daulat yahi KHazana hai

mahsharistan-e-arzu-e-visal
dil hai kya ek kar-KHana hai

lo bujha chahta hai dil ka kanwal
KHatm ab ishq ka fasana hai

kya kahin uD ke ja nahin sakte
wo chaman hai wo aashiyana hai

'yas' ab aap mein na aaenge
wasl ek maut ka bahana hai