yan to kuchh apni KHushi se nahin hum aae hue
ek zabardast ke hain khinch ke bulwae hue
aate hi roe to aage ko na rowen kyun-kar
hum to hain roz-e-talawwud hi ke dukh pae hue
dekh kar ghair ke sath us ko kaha yun hum ne
ho to tum chand par is waqt ho gahnae hue
kal jo gulshan mein gae hum to ajab shakl se aah
hijr ke mare hue ji se ba-tang aae hue
gul jo taze the khile kahte the shabnam se ye baat
dekh kar un ko jo wo phul the kumhlae hue
aaj hain shaKH pe jis taur se pazhmurda 'nazir'
kal isi tarah se hum howenge murjhae hue
Ghazal
Yan to kuchh apni KHushi se nahin hum aae hue
Nazeer Akbarabadi