yan se denge na tum ko jaane aaj
lakh ab tum karo bahane aaj
bin liye aaj tera bosa-e-lab
kab bhala dunga tujh ko jaane aaj
bas ye mujh se na tum karo kal kal
itni hai kal kahan ki jaane aaj
dagh jun lala kha chaman mein nasim
main bhi aaya hun gul khilane aaj
lag gaya KHak ho ke jism-e-'nasir'
kucha-e-yar mein Thikane aaj
Ghazal
Yan se denge na tumko jaane aaj
Shah Naseer

