اردو हिंदी
Yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai | Shaahi Shayari
yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai

Ghazal

Yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai

Qayem Chandpuri

;

yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai
kije kya jaan meri aalam-e-darweshi hai

apne mazhab mein qarabat nahin ajdad ki shart
tujh se nisbat hai jise us se hamein KHweshi hai

mujh se ek KHasta se nahaq ye shab o roz KHalish
ai jafa-pesha ye kya nahw-e-sitam-keshi hai

baat hai shohra-nasibi ki nirali warna
mujh pe kis chiz mein majnun ke tain beshi hai

gauhar-e-ashk ko nishmurda tu 'qaem' na bikher
aadmi hai wa miyan aaqbit-andeshi hai