yan kufr se gharaz hai na islam se gharaz
bas hai agar gharaz to tere nam se gharaz
aish-o-nashat-e-zist hai sab aap se husul
yan shishe se gharaz hai na hai jam se gharaz
tum pas ho agar to barabar hai raat din
kuchh subh se gharaz na hamein sham se gharaz
dil pher dijiye na bigaDiye huzur aap
yan bose se gharaz hai na dushnam se gharaz
paD rahne bhar ko dijiye dar par hamein jagah
rahat se kuchh gharaz hai na aaram se gharaz
aankhen dila milin hamein rone ke waste
nakaamiyon se kaam na hai kaam se gharaz
'anjum' ka sher kahne se bikna murad hai
tahsin se kuchh gharaz hai na ilzam se gharaz
Ghazal
Yan kufr se gharaz hai na islam se gharaz
Mirza Asman Jah Anjum