yan KHak ka bistar hai gale mein kafani hai
wan hath mein aaina hai gul pairahani hai
hathon se hamein ishq ke din raat nahin chain
fariyaad o fughan din ko hai shab nara-zani hai
hushyar ho ghaflat se tu ghafil na ho ai dil
apni to nazar mein ye jagah be-watani hai
kuchh kah nahin sakta hun zaban se ki zara dekh
kya jae hai jis jae na kuchh dam-zadani hai
mizhgan pe mere laKHt-e-jigar hi nahin yaro
is tar se wo rishta aqiq-e-yamni hai
likh aur ghazal qafiye ko pher 'zafar' tu
ab taba ki dariya ki teri mauj-zani hai
Ghazal
Yan KHak ka bistar hai gale mein kafani hai
Bahadur Shah Zafar