yaadon mein rang bhar raha hun 
zaKHmon ko gulab kar raha hun 
har sans ek an-suni si aahaT 
main jaane kis pe mar raha hun 
duniyaen wajud pa rahi hain 
reza reza bikhar raha hun 
ek lamha-e-gum-shuda ki KHatir 
sadiyon ka hisab kar raha hun 
maqsud-e-safar hai kuchh to aisa 
shoalon se jo guzar raha hun 
hai ek junun-e-KHud-shanasi 
akasr apne hi sar raha hun 
tufan guzar chuka hai kab ka 
ab dariya sa utar raha hun 
rishte mazbut ho rahe hain 
peshaniyon par ubhar raha hun 
tha faKHr bahut falak-rasi par 
KHud apne par ab katar raha hun
        Ghazal
Yaadon mein rang bhar raha hun
Izhar Varsi

