yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai
bekari bharpur mashaqqat hoti hai
aisa KHali aur itna gunjaan aabaad
aaine ko dekh ke hairat hoti hai
diwaron ka apna sahra hota hai
aur kamron ki apni wahshat hoti hai
us ko yaad karo shiddat se yaad karo
is se tanhai mein barkat hoti hai
bachpan jauban aur buDhapa aur phir maut
sab chalte rahne ki aadat hoti hai
jina to bas lafz hai ek be-mani lafz
maut se pahle maut ki fursat hoti hai
aisi aazadi ab aur kahan hogi
ishq mein sab karne ki ijazat hoti hai
aansu moti jugnu tara suraj chand
har qatre ki apni qismat hoti hai
Ghazal
Yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai
Ahmad Shahryar