yaadon ki qindil jalana kitna achchha lagta hai
KHwabon ko palkon pe sajaana kitna achchha lagta hai
teri talab mein patthar khana kitna achchha lagta hai
KHud bhi rona sab ko rulana kitna achchha lagta hai
hum ko KHabar hai shahr mein us ke sang-e-malamat milte hain
phir bhi us ke shahr mein jaana kitna achchha lagta hai
jurm-e-mohabbat ki tariKHen sabt hain jin ke daman par
un lamhon ko dil mein basana kitna achchha lagta hai
haal se apne begane hain mustaqbil ki fikr nahin
logo ye bachpan ka zamana kitna achchha lagta hai
aaj ka ye uslub-e-ghazal bhi qadr ke qabil hai lekin
'mir' ka wo andaz purana kitna achchha lagta hai
qadr-shanas-e-sher-o-suKHan hote hain jahan par ai 'tabish'
us mahfil mein sher sunana kitna achchha lagta hai
Ghazal
Yaadon ki qindil jalana kitna achchha lagta hai
Tabish Mehdi