yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye
gumbad na chiKH uTThe koi dar nikaliye
khul jaiye baraste hue abr ki tarah
jo chiz dil mein hai use bahar nikaliye
ban kar dikhaiye kisi bahzad ka jawab
patthar tarash kar koi paikar nikaliye
rakhiye shanawari ka bharam kuchh na kuchh zarur
moti na hath aae to patthar nikaliye
manzur hai ghurur-e-KHizan ki agar shikast
gulshan se rang-o-nur ke lashkar nikaliye
qadir hai bahr-o-bar pe jo insan to aap bhi
KHat khinch kar zamin se samundar nikaliye
rakhiye ba-azm-e-KHas rah-e-zist mein qadam
manzil baDi kaThin hai magar Dar nikaliye
dushman bhi tir joD ke baiTha hai ghat mein
KHandaq se dekh-bhaal ke ab sar nikaliye
phir dost ko lagaiye dil se ba-sad-KHulus
phir apni aastin se KHanjar nikaliye
phir chha rahi hai dajla-e-mahtab par ghaTa
is tirgi se phir koi manzar nikaliye
jo ho sake to waqt ki zanjir toD kar
sham-o-sahar ka panw se chakkar nikaliye
'zulfi' gali mein aaj bahut tez hai hawa
is kaghzi-badan ko na bahar nikaliye

Ghazal
Yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye
Saif Zulfi