yaadgar-e-guzishtagan hain hum
KHub dekha to phir kahan hain hum
shama ki tarah bazm-e-giti mein
dagh baiThe hain aur rawan hain hum
rahe jate hain pichhe yaron se
gard-e-dumbaal-e-karwan hain hum
rakh na KHanjar ko hath se qatil
tere kushton mein nim-jaan hain hum
aabiyar-e-suKHan hai apni zaban
lafz o mani ke baghban hain hum
tu hi tu hai jo KHub ghaur karen
ek dhoka sa darmiyan hain hum
dawat-e-tegh ke to qabil hain
go ki yak-musht-e-ustuKHan hain hum
rang-e-ruKH par hamare, zardi si
nazar aati hai, kya KHizan hain hum
go kiya hum ko sard piri ne
par abhi taba mein jawan hain hum
aur bhi hum ko rahne de chande
go teri taba par giran hain hum
baghban ab chaman se jawen kahan
bulbul-e-kohna aashiyan hain hum
'mushafi' shaeri rahi hai kahan
ab to majlis ke rauza-KHwan hain hum
Ghazal
Yaadgar-e-guzishtagan hain hum
Mushafi Ghulam Hamdani