yaadash-ba-KHair saya-fagan ghar hi aur tha
lauTa musafirat se to manzar hi aur tha
dekha ajib rabt anasir ke darmiyan
badla jo aasman to samundar hi aur tha
phir yun hua ki apne hi mehwar se haT gai
warna to is zamin ka muqaddar hi aur tha
wo yun laga hai turra-o-dastar ke baghair
jaise miyan-e-dosh wahan sar hi aur tha
wo naunihaal jis ki numu hai mera lahu
nikla jo mere qad se to paikar hi aur tha
asbab-o-zad-e-rah tale dafan ho gaya
pahne tha jo bagule wo lashkar hi aur tha
mamnun-e-iltifat-e-tawajjoh raha hai jo
ek shaKHs baiTha mere barabar hi aur tha
'mazhar' ko puchhte ho to bas itna jaan lo
bite hue dinon ka wo 'mazhar' hi aur tha
Ghazal
Yaadash-ba-KHair saya-fagan ghar hi aur tha
Syed Mazhar Jameel