اردو हिंदी
Yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya | Shaahi Shayari
yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya

Ghazal

Yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya

Muzaffar Razmi

;

yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya
sare hi gham bhula gai zehn ka bojh utar gaya

zindagi kya hai gham hai kya sochte sochte yunhi
mujh ko hansi jo aa gai zehn ka bojh utar gaya

sham-e-firaq mein mujhe tere hi gham ke faiz se
nind achanak aa gai zehn ka bojh utar gaya

aaj wafa ke saz par kaun ye ibrat-e-suKHan
meri ghazal suna gai zehn ka bojh utar gaya

shiddat-e-ranj-o-yas mein bhuli hui koi KHushi
itna mujhe rula gai zehn ka bojh utar gaya

achchha hua ki dil ki baat aaj kisi ke ru-ba-ru
meri zaban tak aa gai zehn ka bojh utar gaya

ye bhi KHuda ka fazl hai meri nawa-e-zindagi
auron ke kaam aa gai zehn ka bojh utar gaya

kashmakash-e-hayat mein had se baDhin jo uljhanen
aap ki yaad aa gai zehn ka bojh utar gaya

'razmi'-e-be-qarar ko ahl-e-KHulus ki nazar
pyar se jab sila gai zehn ka bojh utar gaya