yaad use intihai karte hain
so hum us ki burai karte hain
pasand aata hai dil se yusuf ko
wo jo yusuf ke bhai karte hain
hai badan KHwab-e-wasl ka danggal
aao zor-azmai karte hain
us ko aur ghair ko KHabar hi nahin
hum lagai bujhai karte hain
hum ajab hain ki us ki banhon mein
shikwa-e-narasai karte hain
haalat-e-wasl mein bhi hum donon
lamha lamha judai karte hain
aap jo meri jaan hain main dil hun
mujh se kaise judai karte hain
ba-wafa ek dusre se miyan
har-nafas bewafai karte hain
jo hain sarhad ke par se aae
wo bahut KHud-satai karte hain
pal qayamat ke sud-KHwar hain 'jaun'
ye abad ki kamai karte hain

Ghazal
Yaad use intihai karte hain
Jaun Eliya