اردو हिंदी
Yaad uski hai kuchh aisi ki bisarti bhi nahin | Shaahi Shayari
yaad uski hai kuchh aisi ki bisarti bhi nahin

Ghazal

Yaad uski hai kuchh aisi ki bisarti bhi nahin

Shahab Jafri

;

yaad us ki hai kuchh aisi ki bisarti bhi nahin
nind aati bhi nahin raat guzarti bhi nahin

zindagi hai ki kisi tarah guzarti bhi nahin
aarzu hai ki meri maut se Darti bhi nahin

bas guzarte chale jate hain mah-o-sal-e-umid
do-ghaDi gardish-e-ayyam Thaharti bhi nahin

dur hai manzil-e-afaq dukhi baiThe hain
saKHt hai panw ki zanjir utarti bhi nahin

sun to sail nahin hum KHak-nashin-e-gumrah
ai saba tu to zara der Thaharti bhi nahin

sham hoti hai to ek ajnabi dastak ke siwa
dil se pahron koi aawaz ubharti bhi nahin

zindagi tu bhi koi mauj-e-bala kyun na sahi
ek hi bar mere sar se guzarti bhi nahin