yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
dil ke virane ko karne lagin jal-thal aankhen
meri aankhon ka koi abr se rishta hai zarur
TuT ke barsi ghaTa jab huin bojhal aankhen
KHwab ko KHwab samajhti hi nahin jaane kyun
DhunDhti rahti hain ek shaKHs ko pagal aankhen
kaisa rishta hai talluq hai ye kaisa aaKHir
choT to dil pe lagi ho gain ghayal aankhen
shoKHiyan sharm-o-haya nur ke sae jhelen
umr mein pahle-pahal dekhen mukammal aankhen
jis tarah koi ghazal likkhi ho matlea ke baghair
yun nazar aati hain akasr bina kajal aankhen
ai 'shakil' un se kaho pyar se wo dur rahen
dard ka bojh na sah paengi chanchal aankhen
Ghazal
Yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen
Shakeel Shamsi