yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost
hijr insan ke KHad-o-KHal badal deta hai
kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost
sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain
ain mumkin hai Thahar kar chale jaana mere dost
tum agar ab bhi khanDar dekh ke KHush hote ho
to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost
jaise miTTi ko hawa sath liye phirti hai
main kahan aur kahan mera Thikana mere dost
Ghazal
Yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
Ashfaq Nasir