yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga
KHamushi ki qaid se harf-e-bayan tak aaunga
tu yaqin ke aaine mein dekhna chahega aur
main faqat KHush-fahmi-e-hadd-e-guman tak aaunga
chhu ke tere zehn ke KHamosh taron ko kabhi
le ke ek tufan tere dil ke makan tak aaunga
phir tere ehsas ke shoalon mein Dhal jaegi raat
main ubhar kar jis ghaDi ashk-e-rawan tak aaunga
dastaras se tir ban kar bhi nikal jaunga phir
jab kabhi main tere abru ki kaman tak aaunga
sard aahon mein simaT kar shiddat-e-ehsas se
qalb ki nazuk ragon ke darmiyan tak aaunga
itna mat socho ki ye nazuk ragen phaT jaengi
main tumhaare zehn mein aaKHir kahan tak aaunga

Ghazal
Yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga
Naqqash Abidi