yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gae
us ki galiyon se jab lauTe apna bhi ghar bhul gae
KHub gae pardes ke apne diwar-o-dar bhul gae
shish-mahal ne aisa ghera miTTi ke ghar bhul gae
tujh ko bhi jab apni qasmen apne wade yaad nahin
hum bhi apne KHwab teri aankhon mein rakh kar bhul gae
mujh ko jinhonne qatl kiya hai koi unhen batlae 'nazir'
meri lash ke pahlu mein wo apna KHanjar bhul gae
Ghazal
Yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gae
Nazeer Baaqri