yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein
umr bhar ab kahin aana hai na jaana hai hamein
kahte hain ishq ka anjam bura hota hai
ab to kuchh bhi ho mohabbat ko nibhana hai hamein
KHalish-e-ishq se bechain hai dil ek taraf
is pe yarab gham-e-hasti bhi uThana hai hamein
hae wo aag jo mushkil se jali thi dil mein
aaj us aag ke shoalon ko bujhana hai hamein
ruKHsat-e-arz-e-tamanna nahin milti na mile
qissa-e-shauq nigahon se sunana hai hamein
aap kanTon se jo bachte hue chalte hain chalen
daman-e-shauq ko phulon se bachana hai hamein
hae is sharm-e-mohabbat ka bura ho 'taban'
ishq ka raaz KHud un se bhi chhupana hai hamein
Ghazal
Yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein
Zafar Taban