yaad ki subh Dhal gai shauq ki sham ho gai
aap ke intizar mein umr tamam ho gai
pi hai jo ek bund bhi jag paDi hai zindagi
aisi sharab-e-jaan-faza kaise haram ho gai
sath kisi ne chhoD kar toD diya kisi ka dil
chal to paDa tha karwan rah mein sham ho gai
nikle ba-yaad-e-mai-kada taron ke sath sath hum
jam tak aa ke zindagi mah-e-tamam ho gai
ras na aai zist ko subh-e-bahaar ki hawa
ahl-e-junun ki anjuman KHalwat-e-jam ho gai
aaj wo muskura diye aaj hamari zindagi
aag se phul ban gai phul se jam ho gai
bazm se be-zaban uThe rah mein guftugu na ki
kaise hamari dastan shahr mein aam ho gai
raat ki jashn-gah par os paDi hai nind ki
baad-e-sahar na jaane kyun mahw-e-KHiram ho gai
sun li zaban-e-KHalq se hum ne ghazal 'shamim' ki
kaun si KHas baat hai kis liye aam ho gai

Ghazal
Yaad ki subh Dhal gai shauq ki sham ho gai
Shamim Karhani