اردو हिंदी
Yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad | Shaahi Shayari
yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad

Ghazal

Yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad

Alam Khursheed

;

yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad
ek sitare ne ye puchha raat Dhal jaane ke baad

main zamin par hun to phir kyun dekhta hun aasman
ye KHayal aaya mujhe aksar phisal jaane ke baad

doston ke sath chalne mein bhi KHatre hain hazar
bhul jata hun hamesha main sambhal jaane ke baad

ab zara sa fasla rakh kar jalata hun charagh
tajraba ye hath aaya hath jal jaane ke baad

wahshat-e-dil ko hai sahra se baDi nisbat ajib
koi ghar lauTa nahin ghar se nikal jaane ke baad