yaad karne ka tumhein koi irada bhi na tha
aur tumhein dil se bhula den ye gawara bhi na tha
har taraf tapti hui dhup thi ai umr-e-rawan
dur tak dasht-e-alam mein koi saya bhi na tha
mishal-e-jaan bhi jalai na gai thi hum se
aur palkon pe shab-e-gham koi tara bhi na tha
hum sar-e-rah-e-wafa us ko sada kya dete
jaane wale ne palaT kar hamein dekha bhi na tha
ho gai KHatm sarabon mein bhaTakti hui zist
dil mein hasrat hi rahi dasht mein dariya bhi na tha
kis KHamoshi se jala daman-e-dil ai 'gulnar'
koi shola bhi na tha koi sharara bhi na tha
Ghazal
Yaad karne ka tumhein koi irada bhi na tha
Gulnar Aafreen