yaad har pal tujh ko karne ka sila pane laga
mujh ko aaina tera chehra hi dikhlane laga
dil ki banjar si zamin par jab tu barsa pyar se
zarra zarra khil ke is ka jhumne gane laga
jism ke hi raj-path par DhunDta tha main jise
dil ki pagDanDi pe ab wo sukh nazar aane laga
hasraton ki imliyan girne lagin tab peD se
hausle ka jab tu patthar us pe barsane laga
mere ghar se tere ghar ka rasta mushkil to hai
par milan ki chah se aasan ho jaane laga
sochne mein waqt 'niraj' mat lagana bhul kar
pyar qatil se bhi kar gar wo tujhe bhane laga
Ghazal
Yaad har pal tujhko karne ka sila pane laga
Neeraj Goswami