yaad hain we din tujhe hum kaise aawaron mein the
KHar the har aablon mein aable KHaron mein the
ai gulabi mast phir munh lag ke us ke is qadar
lal-e-lab ke ek din hum bhi parastaron mein the
lab talak bhi aa nahin sakte hain mare zoaf ke
aah fauj-e-gham ke jo jaane hawaldaron mein the
samne kal KHush-nigahon ke jo aaya mar gaya
dekha Tuk kya hi jawahar un ki tarwaron mein the
mere us ke darmiyan harf aaya jab insaf ka
phir gae ek martaba jitne taraf-daron mein the
nala-o-ah-o-fughan dard-o-alam soz-o-gudaz
aah kaise kaise 'joshish' apne gham-KHwaron mein the
Ghazal
Yaad hain we din tujhe hum kaise aawaron mein the
Joshish Azimabadi