yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne 
hanste hanste rula diya tu ne 
muskura kar mizaj kya puchha 
dukhti rag ko daba diya tu ne 
rang-o-bu mein bhi dilkashi na rahi 
rang aisa chaDha diya tu ne 
marhaba ai KHayal-e-zulf-e-butan 
ujDe ghar ko basa diya tu ne 
subh-e-ummid shukriya tera 
tirgi ko miTa diya tu ne 
gham mein aaya nazar nashat ka rang 
hum ko jina sikha diya tu ne 
jis 'nazar' se mila tha pyar kabhi 
us 'nazar' se gira diya tu ne
        Ghazal
Yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne
Nazar Barni

