اردو हिंदी
Yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak | Shaahi Shayari
yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak

Ghazal

Yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak

Muneeruddin Sahar Saeedi

;

yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak
Duba rahta hun KHayalon mein bahut der talak

nam se bhi mere waqif nahin hota koi
wo jo rahte na hawalon mein bahut der talak

jab bhi un galon ke girdab pe paDti hai nazar
gharq rahta hun KHayalon mein bahut der talak

muztarib rahti hain aahaT pe chamak jati hain
kaun rah pae ghazalon mein bahut der talak

naghma-o-saz ki tasir tilsmati hai
gunj rahti hai shiwalon mein bahut der talak

fazl-e-rab jaan ke jab khata hun rukhi-sukhi
lutf aata hai niwalon mein bahut der talak

KHubi-e-sher ke charche bhi rahe KHub 'sahar'
aap ke chahne walon mein bahut der talak