اردو हिंदी
Yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah | Shaahi Shayari
yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah

Ghazal

Yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah

Yasin Ali Khan Markaz

;

yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah
kafir bane na hum na musalman kisi tarah

karte ho wada aane ka hai aankh muntazar
kab tak guzare din ye hai mehman kisi tarah

aazad ishq-e-yar ne hum ko bana diya
mal-o-mata' ka hun na main KHwahan kisi tarah

pite raho sharab jahan tak ki ho sake
shaghil na chhuTe saqi ka daman kisi tarah

aa jawen gar nasib se aalam hai naza ka
nikle hamare dil ke bhi arman kisi tarah

mar jaun un ke tir-e-nigah se najat ho
gardan pe mere un ka ho ehsan kisi tarah

zindan hain phans gaya dil-e-muztar nigah ke
baiThe hain pasban bane mizhgan kisi tarah

baad-e-fana bhi qabr ko mismar kar diya
izhaar-e-ranj ka na ho saman kisi tarah

adwar mein agarche hai 'markaz' ghira hua
chhoDe na tujh ko rahmat subhan kisi tarah