اردو हिंदी
Yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran | Shaahi Shayari
yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran

Ghazal

Yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran

Faiz Ahmad Faiz

;

yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran
jab chaha kar liya hai kunj-e-qafas bahaaran

aankhon mein dard-mandi honTon pe uzr-KHwahi
jaanana war aai sham-e-firaqyara

namus-e-jaan-o-dil ki bazi lagi thi warna
aasan na thi kuchh aisi rah-e-wafa-shiaran

mujrim ho KHwah koi rahta hai nasehon ka
ru-e-suKHan hamesha su-e-jigar-figaran

hai ab bhi waqt zahid tarmim-e-zuhd kar le
su-e-haram chala hai amboh-e-baada-KHwaran

shayad qarib pahunchi subh-e-visal hamdam
mauj-e-saba liye hai KHush-bu-e-KHush-kinaran

hai apni kisht-e-viran sarsabz is yaqin se
aaenge is taraf bhi ek roz abr-o-baran

aaegi 'faiz' ek din baad-e-bahaar le kar
taslim-e-mai-faroshan paigham-e-mai-gusaran