yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo
apni aur meri jawani ko na barbaad karo
sharm rone bhi na de bekali sone bhi na de
is tarah to meri raaton ko na barbaad karo
had hai pine ki ki KHud pir-e-mughan kahta hai
is buri tarah jawani ko na barbaad karo
yaad aate ho bahut dil se bhulane walo
tum hamein yaad karo tum hamein kyun yaad karo
aasman rutba mahal apne banane walo
dil ka ujDa hua ghar bhi koi aabaad karo
hum kabhi aaen tere ghar magar aaenge zarur
tum ne ye wada kiya tha ki nahin yaad karo
chandni raat mein gul-gasht ko jab jate the
aah azra kabhi us waqt ko bhi yaad karo
main bhi shaista-e-altaf-e-sitam hun shayad
mere hote hue kyun ghair pe bedad karo
sadqe us shoKH ke 'aKHtar' ye likha hai jis ne
ishq mein apni jawani ko na barbaad karo
Ghazal
Yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo
Akhtar Shirani