yaad aaen jo ayyam-e-bahaaran to kidhar jaen
ye to koi chaara nahin sar phoD ke mar jaen
qadmon ke nishan hain na koi mil ka patthar
is rah se ab jin ko guzarna hai guzar jaen
rasmen hi badal di hain zamane ne dilon ki
kis waza se us bazm mein ai dida-e-tar jaen
jaan dene ke dawe hon ki paiman-e-wafa ho
ji mein to ye aata hai ki ab hum bhi mukar jaen
har mauj gale lag ke ye kahti hai Thahar jao
dariya ka ishaara hai ki hum par utar jaen
shishe se bhi nazuk hain inhen chhu ke na dekho
aisa na ho aankhon ke hasin KHwab bikhar jaen
tarik hue jate hain baDhte hue sae
'aKHtar' se kaho sham hui aap bhi ghar jaen
Ghazal
Yaad aaen jo ayyam-e-bahaaran to kidhar jaen
Akhtar Saeed Khan