yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko
dil hi nahin sine mein to bahlaegi kis ko
dam khinchta hai kyun aaj ye rag rag se hamara
kya jaane idhar dil ki kashish laegi kis ko
uThne hi nahin deti hai jab yas biTha kar
phir shauq ki himmat kahin le jaegi kis ko
jab mar hi Dala hamein be-tabi-e-dil ne
karwaT shab-e-furqat mein badalwaegi kis ko
mar jaenge be-maut gham-e-hijr ke mare
aaegi to ab zinda ajal paegi kis ko
achchha rahe taswir kisi ki mere dil par
kam-baKHt na Thahrega to Thahraegi kis ko
kuchh baiTh gaya dil hi yahan baiTh ke apna
ghairat teri mahfil se ab uThwaegi kis ko
is wada-KHilafi ne agar jaan hi le li
phir jhuTi tasalli teri taDpaegi kis ko
kyun lenge 'jalal' aa ke mere dil mein wo chuTki
jhapkegi palak kahe ko nind aaegi kis ko
Ghazal
Yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko
Jalal Lakhnavi