ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun
ab to apne se bhi mastur hua jata hun
shoala-e-ishq wo shoala hai ki allah allah
sadqe is nar ke main nur hua jata hun
aalam-e-jabr mein quwwat ka taKHayyul tha bahut
ab wo quwwat hai ki majbur hua jata hun
ishq ki rah mein manzil koi khoi hi nahin
kya KHabar pas hun ya dur hua jata hun
kis ko samjhaun tajalli-e-tabassum ka farogh
barq ye wo hai ki main tur hua jata hun
tera har gham hai tarab-KHez tere gham ki qasam
shiddat-e-dard se masrur hua jata hun
kah do tayyar karen dar-o-rasan phir se 'bashir'
aalam-e-kaif main mansur hua jata hun
Ghazal
Ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun
Syed Bashir Husain Bashir