ya to tariKH ki azmat se lipaT kar so ja
ya kisi TuTe hue but se chimaT kar so ja
nanha bachcha hai to aa man ke ghane aanchal mein
raat ki chhalni saDak hi se lipaT kar so ja
har ghaDi shor machati hui maKHluq ke beach
apne hone ke yaqin se zara haT kar so ja
nind uDne ka maza tu bhi chakha de un ko
chaal makkar sitaron ki ulaT kar so ja
oDh le sare badan par tu hawa ki chadar
aur tufan ki banhon mein simaT kar so ja
ai KHalifa ai nae waqt ke haarun-rashid
to riwayat-e-shab-e-adl se kaT kar so ja
Ghazal
Ya to tariKH ki azmat se lipaT kar so ja
Fay Seen Ejaz