ya to suraj jhuT hai ya phir ye saya jhuT hai
aankh to is par bhi hairan hai ki kya kya jhuT hai
muddaton mein aaj dil ne faisla aaKHir diya
KHub-surat hi sahi lekin ye duniya jhuT hai
KHun mein shamil achhuti KHushbuon ke sath sath
kyun kahun mujh mein jo bahta hai wo dariya jhuT hai
zindagi ke bare itna hi kaha sach jaaniye
dasht mein bhaTka hua jaise bagula jhuT hai
Ghazal
Ya to suraj jhuT hai ya phir ye saya jhuT hai
Akhtar Shumar