ya thi hawas-e-visal din raat
ya rahne laga malal din raat
bechain rakhe hai mere dil ko
kafir ye tera KHayal din raat
rahta hai meri zaban pe tujh-bin
afsana-e-zulf-o-KHal din raat
dekhun hun ba-nuqta-e-tasawwur
milne ki tere hi fal din raat
aankhon mein phire hai jun mah-e-id
abru ka tere hilal din raat
wo said hun main rahe hai jis ke
andeshe ka sar pe jal din raat
aankhon ke tale meri phire hai
ab tak wahi bol-chaal din raat
jis sabza-e-murgh-zar mein tha
raqsinda mera ghazal din raat
jaulani-e-dard-o-gham se ab yan
wo sabza hai paemal din raat
gar tu hi nahin to kyun jiyun main
hai zist mujhe wabaal din raat
furqat mein teri hai 'mushafi' ko
likhna yahi hasb-e-haal din raat
Ghazal
Ya thi hawas-e-visal din raat
Mushafi Ghulam Hamdani