اردو हिंदी
Ya sajan tark-e-mulaqat karo | Shaahi Shayari
ya sajan tark-e-mulaqat karo

Ghazal

Ya sajan tark-e-mulaqat karo

Abroo Shah Mubarak

;

ya sajan tark-e-mulaqat karo
ya milo do mein se ek baat karo

sab butan rashk sin ho jaan mal
naz ka asp agar lat karo

panw paDne kun saadat samjho
yar ke dil kun agar hat karo

jang ka waqt nahin ye pyare
ghar mein aae hain mudaraat karo

jin ko mazmun ka dawa hai unhen
'abru' sin kaho do hat karo