ya-rab meri us but se mulaqat kahin ho
jis baat ko ji chahe hai wo baat kahin ho
gar qurb-e-suKHan us se nahin dur se ai kash
nazron hi mein Tuk harf-o-hikayat kahin ho
phirta hai hasinon se bahut aankhen laData
Darta hun na dil masdar-e-afat kahin ho
hote hue dushman ke kahun kyun ke mein kuchh baat
majlis se teri dafa ye bad-zat kahin ho
kaghaz pe shab o roz teri khinchun hun taswir
yani isi surat basar-auqat kahin ho
hai aaj ki shab wada-e-wasl us ka mere sath
ya-rab ki shitabi se ye din raat kahin ho
de Dalo dil-e-'mushafi' tum warna meri jaan
ruswai hai wo tum pe gar isbaat kahin ho
Ghazal
Ya-rab meri us but se mulaqat kahin ho
Mushafi Ghulam Hamdani