ya-rab kahan gaya hai wo sarw-e-shoKH-rana
hai chob-e-KHushk jis bin meri nazar mein tuba
didar de shitabi jalne ki tab nin hai
is hijr ki agan sin dozaKH ki aag aula
tauq-e-gulu-e-dil hai zulf-e-sanam ka har KHam
mashhur ye masal hai yak sar hazar sauda
hai KHatm yar-e-jaani tere dahan ki tangi
kahne ki baat nin hai barik hai muamma
ai gul-badan nazar kar dagh-e-jigar kun mere
gar aarzu hai tujh kun gulzar ka tamasha
maskan hua hai mera jab sin teri gali mein
ai gul-ezar tab sin jannat ki nin tamanna
hai ai 'siraj' har shab mahtab-ru ke gham mein
aansu ka mere jhamka jyun KHosha-e-surayya
Ghazal
Ya-rab kahan gaya hai wo sarw-e-shoKH-rana
Siraj Aurangabadi