ya-rab aabaad howen ghar sab ke
phiren KHat le ke nama-bar sab ke
kis ki mizhgan hain ki sinon mein
yak-ba-yak chhin gae jigar sab ke
shab ki shab gul chaman ke hain mehman
barg jhaD jaenge sahar sab ke
ek aashiq pe iltifat na kar
haal par rakh miyan nazar sab ke
dijo paigham hi mera qasid
le chala hai tu KHat agar sab ke
jitne hain gird-o-pesh ham-sae
ghar Duboegi chashm-e-tar sab ke
hum rahe pichhe wae garm rawan
pahunche manzil pe peshtar sab ke
mere soz-e-junun ki dahshat se
band rahte hain din ko ghar sab ke
dil hi apna hai chini-e-mu-dar
hisse aae na wo kamar sab ke
hath uThte the piTne ke liye
tere kushte ki lash par sab ke
gar yahi hai rasai-e-sayyaad
ek din bandhega ye par sab ke
kya dikhawe safai taba meri
jis jagah hun KHazaf guhar sab ke
dosti kar dila na in se ki hain
dushman-e-jaan ye sim-bar sab ke
the jo sultan-e-bahr-o-bar aaKHir
gae barbaad taj-e-zar sab ke
wae duniya ki rulte phirte hain
KHak mein kasa-ha-e-sar sab ke
'mushafi' ye jo hain amir o faqir
dil mein hai maut ka KHatar sab ke
Ghazal
Ya-rab aabaad howen ghar sab ke
Mushafi Ghulam Hamdani