ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mera taj gadayana banaya hota
apna diwana banaya mujhe hota tu ne
kyun KHirad-mand banaya na banaya hota
KHaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kash KHak-e-dar-e-jaanana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charagh-e-dar-e-mai-KHana banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota
roz mamura-e-duniya mein KHarabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
Ghazal
Ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
Bahadur Shah Zafar