wusat hai wahi tangi-e-aflak wahi hai
jo KHak pe zahir hai pas-e-KHak wahi hai
ek umr hui mausam-e-zindan nahin badla
rauzan hai wahi dida-e-namnak wahi hai
kya chashm-e-rafu-gar se shikayat ho ki ab tak
wahshat hai wahi sina-e-sad-chaak wahi hai
har chand ki haalat muafiq nahin phir bhi
dil teri taraf-dari mein saffak wahi hai
ek hath ki jumbish mein dar-o-bast hai warna
gardish wahi kuza hai wahi chaak wahi hai
jo kuchh hai mere pas wo mera nahin shayad
jo main ne ganwa di meri imlak wahi hai
zoron pe 'salim' ab ke hai nafrat ka bahaw
jo bach ke nikal aaega tairak wahi hai
Ghazal
Wusat hai wahi tangi-e-aflak wahi hai
Saleem Kausar