wusat-e-kaun-o-makan mein wo samate bhi nahin
jalwa-afroz bhi hain samne aate bhi nahin
parsai ka hamari nahin duniya mein jawab
waqt aa jae to daman ko bachate bhi nahin
hum wo mai-kash hain ki saqi ki nazar phirte hi
jam ki samt nigahon ko uThate bhi nahin
KHud hi rang-e-ruKH-e-mahbub uDa jata hai
hum to rudad-e-gham-e-ishq sunate bhi nahin
bu-e-gul jin ka kiya karti thi rah rah ke tawaf
ab chaman mein wo nasheman nazar aate bhi nahin
hum wo barbaad-e-mohabbat hain KHuda shahid hai
aag dil mein jo lagi ho to bujhate bhi nahin
waqt nazuk hai ye kya soch rahe ho 'shair'
aisi zulmat mein koi shama jalate bhi nahin
Ghazal
Wusat-e-kaun-o-makan mein wo samate bhi nahin
Shaer Fatahpuri

