wurud-e-jism tha jaan ka azab hone laga
lahu mein utra magar zahr aab hone laga
koi to aae sunae nawed-e-taza mujhe
uTho ki hashr se pahle hisab hone laga
use shubah hai jhulas jaega wo sath mere
mujhe ye KHauf ki main aaftab hone laga
phir us ke samne chup ki kaDi labon pe lagi
mera ye mansab-e-harf aab aab hone laga
main apne KHol mein KHush bhi tha mutmain bhi tha
main apni KHak se nikla KHarab hone laga
zarur mujh se ziyaada hai us mein kuchh 'KHalid'
mera harif agar fatah-yab hone laga
Ghazal
Wurud-e-jism tha jaan ka azab hone laga
Khalid Karrar