wufur-e-shauq mein aah-o-fughan ko bhul gae
tum aa gae to gham-e-do-jahan ko bhul gae
asir-e-gham hain qafas mein guzar lete hain
chaman ko bhul gae aashiyan ko bhul gae
hayat-e-chand-nafas mein kashakash-e-paiham
rahi hai utni ki dard-e-nihan ko bhul gae
daraaz-dasti-e-aghyar ka gila kya hai
adu ko bhul gae mehrban ko bhul gae
rah-e-hayat ki manzil ajib pechida
kahan ki rah KHud hum karwan ko bhul gae
sunaen ishq ki rudad kya tumhein ai 'barq'
hai muKHtasar si magar dastan ko bhul gae
Ghazal
Wufur-e-shauq mein aah-o-fughan ko bhul gae
Barq Hyderabadi