wo zulm to karte hain saza se nahin Darte
is daur ke insan KHuda se nahin Darte
aise bhi hain kuchh log jo daulat ke nashe mein
mazlum ki aahon se dua se nahin Darte
har haal mein jine ki qasam khai hai hum ne
hum ahl-e-mohabbat hain jafa se nahin Darte
hum zahr bhi pi lenge baDe shauq se lekin
Darte hain masiha se dawa se nahin Darte
mar kar bhi dikha denge tere chahne wale
hain talib-e-didar fana se nahin Darte
har haal mein manzil pe nazar hoti hai jinki
rahon mein kabhi rah-numa se nahin Darte
is daur mein jina koi aasan nahin 'sagar'
har rose jo marte hain kaza se nahin Darte

Ghazal
Wo zulm to karte hain saza se nahin Darte
Roop Sagar