wo zulf hai to harf-e-tatar-o-KHutan ghalat
is lab ke hote nam-e-aqiq-e-yaman ghalat
aaya hai jab sen bagh taraf wo kitab-ru
tab sen hua hai safha-e-barg-e-saman ghalat
baiThe suKHan mein wada-KHilafi ka bol kyun
hargiz nabol' bol ai shirin-dahan ghalat
Darta hun us bhawon ke ishaarat sen dam-ba-dam
hota nahin hai saif-zuban ka suKHan ghalat
raushan hai ai 'siraj' ki fani hai sab jahan
mutrib ghalat hai jam ghalat anjuman ghalat
Ghazal
Wo zulf hai to harf-e-tatar-o-KHutan ghalat
Siraj Aurangabadi