wo zimmedari kitni KHushi se nibhai thi
us ko sarai ki zaban main ne sikhai thi
main ne jahan pe pyas ko sairab kar diya
dariya ki ek lahr mere hath aai thi
jang-e-arab mein chhoD gae jab himayati
kufa ke ek jawan ne meri jaan bachai thi
aurat se bahs karna samajhta tha bas hatak
aur nazriyati laDki bhi dil mein basai thi
iman ka hisab bhi rakhna paDa hamein
zati bhalai mein hi KHuda ki bhalai thi
wadi mein har-su ugne lage paniyon ke phul
chashme pe koi husn-bhari aa nahai thi
main ne chune hain apni hi marzi ke chand phul
warna to mere hisse mein puri KHudai thi
shayad ki ek raat ke baad aur raat ho
sapne mein ek judai ke baad aur judai thi
Ghazal
Wo zimmedari kitni KHushi se nibhai thi
Waqar Khan